Naakaami, hataasha, maayoosi, krodh kuch aisi bhavnaayein hain jo gahe bagahe aksar humein dukhi karti rehti hain. Par inse nikalne ke liye idhar udhar bhatakne ke bajay agar apne antarman mein jhakein to wahin se ek umeed ki roshani jhalak sakti hai. Main to har baar aise chanon mein apne paas hi lauta hoon aur yahi mehsoos kiya hai ki aatma bal (self motivating force) hi sabse bada bal hai yani aapne aap ko sahara aap apni andruni shakti ko jaga ke hi de sakte hain. Kehte hain ki uparwala usi ke sath deta hai jise apne aap pe bharosa hai.Khuda bande se khud pucche ki bata teri raza kya hai.
Aur is kavita mein Gupt ji bhi kehte hain
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko
Bachpan mein pitaajee utsaah badhaane ke liye isi kavita ki panktiyan sunaate the. Aur aaj bhi mujhe jab lagtaa hai main bekaar hi apna samay nasht (waste) kar raha hoon to is kavita ki panktiyan gunguna kar khud mein ek nayi aasha ka sanchaar karne ka prayaas karta hoon…
Kuch kaam karo, Kuch kaam karo
Jag mein rah kar kuch naam karo
Yeh janma hua kis arth aho
Samjho jismein yeh vyartha na ho
Kuch to upyukta karo tan ko
Nar ho naa nirash karo man ko
Sambhlo ki suyog naa jaye chala
Kab vyartha hua sadupaay bhala
Samjho jag ko na nira sapna
Path aap prashast karo apna
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko
Jab prapta tumhein sab tatwa yahan
Phir ja sakta hai satwa kahan
Tum swatwa sudha ras paan karo
Uthke amaratva vidhaan karo
Davroop raho bhav kaanan ko
Nar ho na nirash karo man ko
Nij gaurav ka nit gyan rahe
Hum bhi kuch hain ye dhyaan rahe
Sab jaye abhi par maan rahe
Marnottar gunjit gaan rahe
Kuch ho na tajo nij saadhan ko
Nar ho na nirash karo man ko
Maithili Sharan Gupt
Maithilisharan Gupt (1886-1965) was one of the most famous modern Hindi poets. He was designated as the National Poet by the first government of the independent India.
Posted by gauravitchap 
